Ahmad Faraz (Urdu: احمد فراز) born Syed Ahmad Shah (Urdu: سید احمد شاہ) on January 12, 1931 in Kohat, was a Pakistani Urdu poet. He was considered one of the great modern Urdu poets of the last century. Faraz is his pseudonym 'takhalus'. Faraz died in Islamabad on August 25, 2008.
Faraz has been compared with Faiz Ahmad Faiz, holds a unique position as one of the best poets of current times, with a fine but simple style of writing. Even common people can easily understand his poetry. Ethnically a Hindkowan, Ahmed Faraz studied Persian and Urdu at the Peshawar University. He later became lecturer at the Peshawar University.He was awarded Hilal-e-Imtiaz, Sitara-i-Imtiaz and after his death Hilal-e-Pakistan by the government.
Here you go "Samnay Us Kay Kabhi Us ki Satayish Nahi Ki" (Urdu: سامنے اس کے کبھی اس کی ستائش نہیں کی), a beautiful Urdu Ghazal by Ahmad Faraz. I hope you will enjoy reading/ reciting it.
sāmne us ke kabhī us kī satā.ish nahīñ kī
ReplyDeletedil ne chāhā bhī agar hoñToñ ne jumbish nahīñ kī
ahl-e-mahfil pe kab ahvāl khülā hai apnā
maiñ bhī ḳhāmosh rahā us ne bhī pursish nahīñ kī
jis qadar us se ta.alluq thā chalā jaatā hai
us kā kyā rañj ho jis kī kabhī ḳhvāhish nahīñ kī
ye bhī kyā kam hai k donoñ kā bharam qaa.em hai
us ne baḳhshish nahīñ kī ham ne guzārish nahīñ kī
ik to ham ko adab ādāb ne pyāsā rakkhā
us pe mahfil meñ surāhī ne bhī gardish nahīñ kī
ham k dukh oḌh ke ḳhalvat meñ paḌe rahte haiñ
ham ne bāzār meñ zaḳhmoñ kī numā.ish nahīñ kī
ai meray abr-e-karam dekh ye vīrāna-e-jāñ
kyā kisī dasht pe tū ne, Kabhī bārish nahīñ kī?
kaT mare apne qabīle kī hifāzat ke liye
maqtal-e-shahr meñ Thahre rahe hījrat nahīñ kī
vo hameñ bhuul gayā ho to ajab kyā hai 'Farāz'
ham ne bhī mel-mulāqāt kī koshish nahīñ ki .